Islamic Corner

ARKAN E ISLAM IN URDU | EMAN HINDI 2022

- - - sponsored links - - -

ARKAN E ISLAM IN URDU ( THE FIVE PILLERS OF ISLAM): Islam rukan ke jamai hay jes kay mainy hay “satoon” hay, Rukan Esy cheez ku kehtay hay jes per kesy emarat kay qaim rehnay ka daro madaar hay,

yaha Arkan e Islam say murad deen e islam kay wu bunyady asool waa Ebadat hay jes per islam ke pory Emarat qaim hay.

Chalien Ek Nazar dalta hay arkan al islam ki tarteeb pe, Pher uskay baad Hum Tafseel kay sath har hisay Ku bayaan bayaan kartay hay:

- - - sponsored links - - -

Arkan e Islam Kitne hai in Urdu Information?

Islam ke 5 arkan ke naam Nechay Deye gai Hay, Pillars of Islam in Urdu language Tafseel Say Parnay ky leye Nechay Jai.

5 Arkan e Islam in Urdu Ki Tarteeb 2022:

  1. Kalima shahada ( Pehla kalma Tayyab)
  2. Namaz ( 5 Times in Islam )
  3. Zakat ( Allah ke naam Khairat )
  4. Roza ( Allah kay Mohabbat May khud Ku Bhooka Piyasaa Rakhna )
  5. Hajj ( Allah kay Ghar Janna )

Ab Bary aaty hay Arkan e Islam in English Matlab kay (Five pillars of Islam) may Ek Mukhtasar Saa Tarteeb, Eskay Baad hum Detail may discuss Karray ge Arkan e Islam Lekin Urdu may

How many Arkan e Islam in Urdu?

The Five Pillars of Islam is necessary to learn for Every Muslim who Accepted Islam:

  1. The profession of Faith (Kalma e shahada ), Strong Believe That “There is no god but Allah, and Muhammad (S.A.W) is the last messenger of Allah”
  2. Prayer (salah Namaz)
  3. Alms (zakat, Donate Something For the Sake of Allah)
  4. Fasting (sawm or Called Roza)
  5. Pilgrimage (hajj)

Muhammad (S.A.W) islam k arkan kay baray may farmatay hay kay :

Tarjuma: “Islam ke Emarat 5 satoono per uthai gai hay, es baat ke shahadat kay Allah kay siwaa koi mabod nai or ye ke Muhammad (S.A.W) Allah kay banday or os kay Akhri Rasool hay, Or Namaz qaim karna, zakat dena, hajj karna orr Ramzan ke rozay rakhna”.

Chalien ab tafseelan islam ke 5 arkan kay baray may nechay dehan say partay hay:

1.ARKAN E ISLAM KA PEHLA SATOON ( KALIMA SHAHADA)

Islam ka pehla rukan konsa hai:

- - - sponsored links - - -

Arkan e islam  may sab say pehlay kalma e shahadat hay jes kay alfaz ka tarjuma ye hay:

Tarjuma: “May gawahi deta hu kay Allah ke siwa koi mabod nahi, wu yaqta hay es ka koi shareeq nahi orr may es baat ki gawahi deta hu kay Muhammad (S.A.W) es kay banday or es kay akhri Rasool hay”.

Arkan e islam
Arkan e islam Pictures

Allah ku Ek mannay ka aqeeda islam may bunyady hasiyat ka hamil hay, jes kay bina koi insan musalman nahe hoskhta.Aqeeday ka matlb ye hay kay ek cheez per insan ka yaqeen itna pukhta hojaai kay os may shak wa shuba na hu.

Arkan e islam may Kalma e shahadat ka pehla hisa aqeeda e tauheed he ka ilan wa Ehtiraf karta hay, dosra hisa ye Ilaan karta hay Muhammad (S.A.W.) Allah kay banday or sachay Rasool hay,

Or Muhammad ( S.A.W) ka pesh karda Deen hi Deen e haq hay.En dono baton ki gawahi deyai bina koi insan musalman nai huskta, Es leye arkan al islam may pehlay Kalma e shahadat ka ziker keya gaya hay.

2. ARKAN E ISLAM KA DOSRA SATOON (NAMAZ)

Namaz kay lafzi mainee dua karna hai, Deen ki istelah main namaz us khaas  tareeko se ibadat karnay ka naam hai jo hamay Hazoor (S.AW.) nay sikaya.Nimaaz deen ka satoon hai. Nimaaz 2 hijri mai farz huwa.

Quran main irshad hai Tarjumma: Nimaaz qaim karo aur Zakaat dete raho. (Surah rom ayat:31)

Arkan e islam
Arkan e islam Pictures

Hazoor (S.A.W) nay farmaya: Nimaaz deen ka sutun hai.

NAMAZ KI TAKEED IN QURAN

Namaz chunkay deenee tarbiyat ka ahem tareen hissa hai is liey har ummat par farz rahi hain aur tamam Anbiyah(alaihsalam) apni ummaton ki talqeen karte rahe hain.

Quran majeed main namaz parhne ki bar bar talqeen ki gai hain.Quran batata hain kay nimaaz qaim karne walay falah payenge aur usay tarak karne waly zillat ka shikaar hongay. Aik ayat main zikr hain:

- - - sponsored links - - -

Tarjuma: Hum namaz parnay walon main say na thay.

Dil o zuban say Allah ko ma’abood tasleem karnay kay baad is kay sab say ahem hukm namaz ki adaingee say inhiraf aik tarah say Allah ko ma’abood mannay se inkaar hai.

3. ARKAN E ISLAM KA TEESRA SATOON (ROZA)

Roza bee Islam ka bunyaadi rukn hai.Is kay liey Quran o Hadith main “SOM” ka lafz istemal huwa hain.Jis kay mainee apne aap ko rokna hain.Istelah e shariyat main rozay se murad,

“Subah sadiq say lay kar ghoroobay Aftab tak Allah ki khushnoodi kay liey ba’az makhsoos omoor ki sar anjaam dahi aur kaanay peene say apnay aap ko rokay rakhna.

Arkan e islam
Arkan e islam Pictures

ROZAY KAY IJTEMAAE FAWAID:

U to roza aik infiraadi ibadat hai lekin is kay darj zayl fawaid hai:

Maheenay bar bhoo ka piya sara kar insaan ko doosray ki bhook piyaas ka ihsaas hai aur dil main nadaron kay liey hamdardi ka jazba payda hota hai kam se kam ghaza par iktifa ki adat insaan main qana’at o eesar ki siffat payda karti hain.

Aik he waqt mein pori millat Islamia ka aik ibadat mai masroof rehna bahmi yaganat kay farogh ka sabab banta hai.

RAMZAN AUR PAKISTAN:

Pakistanion kay liey is maheenay aur is k aik mubarik shab ki khaas ahmiyat is waja say bhee hai kay Allah nay is mubarik raat main hamein azaadi atha farmaye thee.

Ramzan ki sataswee shab ko pakistan ki tashkeel goya is haqeeqat ki taraf ishara tha kay is mamlikat main isee kitaab e muqaddas ka nizam e zindagi nafiz kiya jaye , jo is mubarik shab main howe aur hamnay Pakistan ka muthalba kiya bhi isee gharz se tha kay yahan Islami nizame hayat nafiz kiya jayee.

Is aetabaar say ramzan ki tashkeel e Pakistan ki saalgira aur khuda say kiyay huway hamare ahed k tajdeed ka bhi moqa hai.

4. ARKAN E ISLAM KA CHARWA SATOON (ZAKAT)

Allah Ta Ala kay atha karda muashi nizam may Zakat ko bunyadi ahmeyat hasil hai.

Arkan e islam

Zakat Islam ka konsa Rukan Hai: Zakat Islam ka Charwa Satoon hay.

ARKAN AL ISLAM MAY ZAKAT KAY LUGHWI MAINEE: Zakat kay lughwi mainee pak karnay kay hai.

ZAKAAT KAY ISTELAHI MAINEE: Deen ki istelah main Zakaat say murad apnay maal ko Allah ki Raah kharch karkay pak karna

- - - sponsored links - - -

ARKAN AL ISLAM MAY ZAKAT KE MUASHI FAWAID: Modi nizam main mehnat kay muqablay main chunkay sarmaya ki afadiyat kahin zyada hai.Isliey mehnatkash aur karkun thabqa musalsal ghareeb say ghareeb thar hota chala jata hain.

Aur sarmaya dar thabqa mukhtalif thariqon se is thabqay ki dolat hathyatha chala jata hain.Is tarah muashi nizam maflooh hokay reh jata hain.Zakaat is tarah surat e haal ka behtareen hal hain.

Nizam e Zakaat kay zaryain dolat ka aik dhara ameer thabqay ki janib bhi murh jata hai jisse ghareeb logon ki muashi halat behtar hojati hai.

MUASHIRTI FAWAID: Muashray main dulat ki wahi hasiat hain,jo insaani jism main khoon ki.Agar yeh saara khoon dil(ya ani maldar) main jama hojaye to poray a’aza jism (awaam)ko mafloog kar dene kay saath saath khuddil kay liey bhi mizr sabit hoga.

Agar aik taraf muflis thabqa,nadaari kay maswaib say do chaar hoga to doosri taraf sahib e sarot thabqa dolat ki farwani say payda honay waly ikhlaaqi amraaz (Maslan ayaashi , araam koshi aur fikr e Akhirat say ghaflat shu’aari) ka shikaar hojayega.

ZAKAT KAY MASARIF IN ARKAN AL ISLAM:

  • Muflis ka Haq
  • Muhtajon ka Haq
  • Zakat kay kaam par janay walon ka
  • Jin ka dil par jaana manzoor hai
  • Gardano kay Charney main
  • Aur joota waan bharay
  • Allah Ta’ala kay rastey mein  aur raah kay
  • Musafir ko

5. ARKAN E ISLAM KA 5WA SATOON (HAJJ)

Arkan e islam may hajj ki ahmiyat ka andaza Quran Majeed ki es Ayat kareema say pata lagtha hay kay :

Tarjuma: “or Allah ka haq hay logoo per, Hajj karna os gahr ka, ju insan qudrat rakhta hu or es ke taraf rah chalnay ki, orr j una mannay tu pher Allah parda nahe Rakhta, jahaan kay logoo ki”.

ARKAN E ISLAM IN URDU
ARKAN E ISLAM IN URDU

Hajj ka matlb siraf chand khaas makamaat ki taraf ziyarat hi nahe, Belkay Es ki Pusht per Esar, Qurbani, Muhabbat or khaloos ke Ek darkhsha Tareekh Mujood hay.Yee Hazrat Ibrahim (A.S) , Hazrat Ismail ( A.S) or hazrat Hajira jesay Azeem hastio ka bay misaal Dastan hay.

Allah nay 86 saal ki Umar may Hazrat Ibrahim  (A.S) ku ek beta deya, os ka naam Ismail (A,S) Rakha gaya, Kuch Arsaay baad Hazrat ismail (A.S) ku os Ki Maa kay sath Ek Wiraan or ghair Abaad jagah per chor anaay ka hukum ayaa. Jes per khud unho nay bhe baray sabar wa hoslay say amal keya.

Hazrat Hajra nay bhe es silsalay may bary Azmiyat ka muzahera keya, jab bacha bara howa tu os ku qurban karnay ka hukum deya gaya.Allah kay es Azeem banday Hazrat Ibrahim (A.S) nay es per bhe bary Estiqamat say amal keyaa.

Allah nay jaha es qurbani ku Sharf qabuliyat Ataa farmaya, Waha Hazrat Ismail (A.S) ku bhe bachaa leya.Hajj bhe hamin enhein Azeem hastio kay nakshay qadam per chalnay ki dawat detay hay.

Muhammamd (S.A.W) farmatay hay kay :

Tarjuma: ju koi Allah kay hukum ki tameel may hajj karta hay aur doraan e haj Fasaad aur gunnah say baaz rehta hay wu gunahu say os tarha pak hukar ataa hay guyaa aby maa kay pait say paida howa hu.

[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=oQ7kKrmGbM8″ autoplay=”no” title=”ARKAN E ISLAM IN URDU “]

ARKAN AL ISLAM EMAN IN URDU PDF BY MAULANA ABDUL KALAM AZAD BOOKS

5 arkan e islam in urdu pdf Book by Maulana Abdul Kalam Azad, Download karnay kay leye Nechay deye gai link pee Click karee.

[su_button url=”https://www.mediafire.com/file/kqll4qizv7ia222/Arkan_e_Islam.pdf/file” style=”3d” background=”#1aabf7″ color=”#ffffff” wide=”yes” center=”yes” icon=”icon: check” icon_color=”#1e1c1c”]DOWNLOAD BOOK NOW[/su_button]

Also Read:

Stay with IkramBlog.

- - - sponsored links - - -

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button