WHAT IS THE KAFFARA OF ZINA IN ISLAM IN URDU/ HINDI

Es Article may aap ku pory Malomaat Hasil Hugy kay ‘What is the Kaffara of Zina in Islam in Urdu‘ Hum Kausay Zina Ka Kaffara Ada karskhtay Hay Agar Shaadi Say pehly Hojai.
I Will provide you Complete Details Regarding Zina ka kaffara kya hai in Urdu or Agar aapku zina ka kaffara kesay ada kartay or zina keya hay in Islam may tu apku Yee Article Bhot Ghor say Parna Hoga,
Kou kay Jin Bhiayo or Behno ku Nae pata Un kay leye May nay ye Article Lekha Hay takay Allah unko hidayat de or zina Jesay baray Gunah say bachay.
1.What is the Kaffara of Zina in Islam in Urdu 2022- Zina Ki Maafi (Full details)
Islam May Zina Ki Tauba:
Ek sahabi Jin ka naam Hazrat Maa’iz ibn malik (R.A) Huzoor kay khidmat may jab hazir howae or ek Had Kay leye Apnay aap ku khud paesh kya kay huzoor mujhy Pak kardijea, Hazrat Muhammad (S.A.W) nay Farmaya kay joa Allah say maafi Mang lu,
Allah Tumharay Saray Gunnah Maaf Farma Dega, Tu wu Uth gae or chalay gae Allah say maafi mang leya lekin bichani or istiraq esa tha Kay per waps Palat kar agae, or per Muhammad (S.A.W) say kaha kay mujhy Pak kardijea,
Tu Muhammad (S.A.W) nay per Farmaya kay joa Allah say maafi Mang Lu wu Maaf karnay wala Hay, Per Hazrat maa’iz (R.A) Uthein or chalay gae Allah Say maafi Mang lein Lekin Per bhe Unkoo Sakoon na Howa or per waps Palat aae or Muhammad (S.A.W) say kaha Kay huzor Mujhy Pak kardijea,
Tu Muhammad (S.A.W) nay Phocha Kes Joram say Pak karo Baar baar Aajtay hu, tumhein kaha hay kay joa Allah say Maafi Mang lu maaf Kardein ge lekin tum per palat ataay Hu Gunnah keya howa hay,
Tu Hazrat Maa’iz (R.A) nay bataya kay huzor mujh say zina hogaya hay or mujhy itna ilum hay kay may shaadi shuda hu or agar shaadi shuda zina karlay tu oski bhot Sakht saza hay,
Osay sangsaar keya jata hay osay es dunya may rehnay nae chahea hota lekin Es kay bawajod may iqrar karta hu kay akhirat ke saza kay muqabilay may ye dunya ke saza kuch bhe nae hay,
Related Islamic Links:
- Arkan e islam in Urdu
- Zina and Its Types in Islam in Urdu
- There is no tomorrow Change Now – Best Islamic speech
Muhammad (S.A.W) nay Ek din hazrat jibraeel (A.S) say phocha kay mujhy jahanam kay azabo kaa Tazkera Sounoa tu hazrat jibraeel (A.S) nay Farmaya Kay sab say halka Azaab ye hoga kay jahanami kay pao may aag kay jutay rakhein jae ge or pora Badan salamat Huga Bas siraf Pao may Aag kay jotay rakhain jae ge,
Jotay Poa may hongay lekin Uski tapesh, hiddat or garmi Say Demagh pigal kay Naak or kanno kay Rasto say baher ajea ga ye sab say halki azab ke kafiyat hay,
Tu Hazrat Maa’iz nay soun kar huzor (S.A.W) say arez keya kay akhirat kay azab say es dunya kay dukh ku tarjee deta hu, tu may khud iqrar karta hu or mujhy haq ke saza dein taqay may pak Hojoa,
2. How to Repent for Zina Before Marriage ( Complete Details)
Zina Ka Kaffara Kya Hai Shaadi Say Pehly In Urdu:
Muhammad (S.A.W) nay farmaya kay enhon nay tu Nashaa nae keya howa, Tu Ek Sahib Uthay or Uska mou Sounga Tu kaha Huzor Esi kayfiyat Tu nae Hay, Per huzor nay Farmaya kay eska Demaghi Tawazon tu theek hay na itnay baray Joram kay leye baar baar iqrar e Joram kar raha Hay,
tu sahaba karaam nay Farmaya Kay Huzor yee Belkl Hosh waa hawas may hein or 5 marbata Apnay Joram ka iqrar kar chukay hay Tu ab gawah ke zarorat nae thi kou kay wu khud hi Iqrar kar raha hay apnay Mou say,
Tu Muhammad (S.A.W) nay Farmaya kay unko Sangsaar Kardo, Hazrat Maa’iz Ku pathar maar Maar kar Sangaar keya jaraha Tha, or Huzor Masjid e Nabwi May kabi kharay Hojatay or Kabi baet jatay thay,
Ankhoon may ansoo Thay, Kesy nay Huzor say Phocha Kay khudi Hukum deya or Khud hi Rou rahay Tu Huzor (S.A.W) nay Farmaya Wu mera Adal Tha or ye Mery Mohabbat Hay, Jab Hazrat Maa’iz (R.A) ku sangsaar kardeya gaya Tu Mohammad (S.A.W) unkay janazay kay leye Khud gae,
Kesy nay waha Kaha Hazrat Maa’iz nay zina Keya hay Tu Huzor (S.A.W) nay soun kar unkay Chehray Mubarik pe Ghussay kay asaar zaher howay or Farmaya kay khabar daar kay kesy nay meray maa’iz kay baray May baat ke,
kay Agar Os nay zina ke thi Tu may nay os per pathar nae marwaea, meray Maa’iz nay esi sachi Toubah ke hay, or Farmaya Oski Toubah tamam Rohay zamaan Kay muslimano may taqseem keya jae tu un kay leye Kafi Hojae ga.
3. Zina Ka Kaffara in Islam in Urdu ( Zina ki maafi Islam)
Zina Ki Talafi In Islam:
Zina Karnay Walay Kaa Kaffara Siraf Aur Siraf Sachay Dil say toba Karlay Lekin Os Toba kay Baad bhe Agar Woh Asaa Karnay ke Niyaat rakhta Ho to Os Ke Toba Koi Mean Nahe Rakhti,
Es leye Agar Aab Esa Gunnah Hogaya ho to Sachay Dil say toba karein to Allah Bhot Raheem Hay, woh Aap ku zaror Maaf karay gaa.
4. Hadees Or Quran May Zina Ki Maafi
Hadith On Zina Or Zina In Quran In Urdu:
Muhammad (S.A.W) Nay Farmaya Kay Aay Ummat Muhammad, Allah Ke qasam Allah Say Barrh Kar Kesy Ku Ghairat Nahe Aati Kay Koi Mard or Aurat Zina Karay or May Allah Ke Qasam utha Kar Kehta Hu Kay Ju kuch May janta Hu Agar Tum Jan Lu To Tum Thora saa Hastay or Ziyadaa Rotay.
Islam main zina ki saza Aur Azaab Agar Zina karnay walay Shaadi Shuda ho to Khoolay medaan may Pathaar Maar Maar kar Maar dala Jai Aur Agar Kuwaray Hay Matlab shaadi Nahe Hui ho to Un ku Soo(100) Koraay maray Jai.
(Bukhari Shareef, 1715)
Hazrat Asasa Bin Saqi Aur Hazrat Anas Bin Malik (R.A) Dono nay Es baat ke gawahi De hay Kay Muhammad (S.A.W) nay Irshaad Farmaya Os waqt tak Qiyamat Qaem Nahe Hoskhti, Jab tak mard Mardoo say Our Auraat,
Aurtoo say Lizat hasil na karnay Jai aur Auraato ka Ek Dosray say Sharm gahoo Ku Mela Kar Lizzat Hasil Karna Zina Hay.
Related Zina Links:
Islam main zina ki saza Aur Azaab Agar Zina karnay walay Shaadi Shuda ho to Khoolay medaan may Pathaar Maar Maar kar Maar dala Jai Aur Agar Kuwaray Hay Matlab shaadi Nahe Hui ho to Un ku Soo(100) Koraay maray Jai.
(Bukhari Shareef, 1715)
Conclusion:
Agar Aapku Es Article “WHAT IS THE KAFFARA OF ZINA IN ISLAM IN URDU” May Kahi Bhe Ghalti Nazar Aae Tu Nechay Comment May Please Lekhain Takay may Osay Correct Karlo Or Kindly Es Article Ku Share Takay or Muslims Brothers or sisters Ku bhe Kaffara of Zina kay baray may pata chal Jae or Allah aapku Eska Ajar Dega, Allah Hum sab Ku Zina Jesy Gunnah Say mehfoz Rakhein Ameen.
Watch Video about “Zina ki maafi islam in urdu“[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=6RjqLFzv5Yo” autoplay=” no” title=” What is the Kaffara of Zina in Islam in Urdu”]
WATCH VIDEO IN URDU RELATED TO “KAFFARA OF ZINA IN ISLAM IN URDU“
[su_youtube_advanced url=”https://www.youtube.com/watch?v=-P-tEnC4zxo” title=” Zina ki maafi islam in urdu Detailed”]
Zina ka kaffara Tariq Jameel Youtube Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=6RjqLFzv5Yo” autoplay=”yes” title=” Zina ki maafi by tariq jameel in Urdu”]
Stay Connected with Ikramblog.